hum yahan gham se hain do-chaar kahin aur chalen aap bhi dikhte hain bimar kahin aur chalen jaan pahchan ke jo chehre the anjaan hue hum rakhen kis se sarokar kahin aur chalen jis bayaban mein milte the kabhi sham-o-sahar saj gaya hai wahan bazar kahin aur chalen kaise kamre mein hawa aae daricha bhi nahin sans lena hua dushwar kahin aur chalen hadisa apne mohalle mein hua hai to kya padh ke dekhenge kal akhbar kahin aur chalen