waraq hai mere sahife ka aasman kya hai raha ye chand to shayad tumhaara chehra hai jo puchhta tha meri umr us se kah dena kisi ke pyar ke mausam ka ek jhonka hai simat gaya tha andheron ko dekh kar lekin sahar ke sath mere raste mein bikhra hai jise bachata raha tha main aabru ki tarah wo lamha aaj meri mutthiyon se phisla hai faza ki shakh pe lafzon ke phul khilne do jise sukut samajhte ho zard patta hai abhi to mere gareban mein hai teri khushbu tere badan pe abhi mera nam likkha hai har ek shakhs ko ummid bas usi se hai hamare shahr mein wo ek hi to ruswa hai