hum yahan rahte hain apni hi nigahbani mein jab se mushkil nazar aane lagi aasani mein mere hathon mein ye kashkol thamaya kis ne kaisa saman mila be-sar-o-samani mein hae kya log the jo josh-o-junun rakhte the ab koi lutf nahin chaak-garebani mein kabhi is shahr mein kuchh der thahar kar dekho zindagani ko rawan maut ki tabani mein hum ne ek umr basar ki hai yahan bhi lekin kuchh izafa na hua dasht ki virani mein aks mera mujhe lagta hai jahan-tab hua sar-e-kohsar dikhai jo diya pani mein mere atraf hain kitne hi parinde khamosh hai koi kaamil-e-fan kar-e-sulaimani mein