hum dhundte phirte rahe taswir hawa ki pani pe thirakti rahi tahrir hawa ki sunet hain samajhte nahin matlab na maani hoti hai darakhton se jo taqrir hawa ki ehsas nahin hai jinhen be-baal-o-pari ka karte hain hawa mein wahi tamir hawa ki dekha hi nahin us ko kisi aankh ne ab tak khinchi hai musawwir ne jo taswir hawa ki main bar-sar-e-paikar hun khud apni ghutan se koi to kare dasht mein tadbir hawa ki