hum ne aadab-e-gham ka pas kiya naqd-e-jaan ko ziyan qayas kya zist ke tajrabaat ka hum ne misl-e-aina inikas kiya khabar-e-agahi ke parde mein umr bhar matam-e-hawas kiya tohmat-e-shoala-zaban le kar surat-e-zakhm iltimas kiya kaise ek lafz mein bayan kar dun dil ko kis baat ne udas kiya aa gaya jab saliqa-e-tamir qasr-e-hasti ko be-asas kya kyun 'sahar' tum ne apne sahra ko mauj-e-dariya se ru-shanas kiya