hum ne dekhe the kabhi khwab suhane kya kya yaad aate hain wahi guzre zamane kya kya dard-e-dil yas-o-alam hasrat-o-arman aansu dafn hain dil ke kharabe mein khazane kya kya teri yaaden teri chahat teri furqat tera gham tu ne bakhshe mujhe rone ke bahane kya kya dil mein raushan hi rahe teri mohabbat ke charagh aandhiyan aati rahin un ko bujhane kya kya hain wo duniya ki nigahon mein ajaib-khane log bhi chhod gae qasr purane kya kya ahl-e-dil ab bhi tadap uthte hain sun kar un ko hain zamane mein mohabbat ke fasane kya kya dasht-o-sahra pe hi mauquf nahin hai hum ne justuju mein teri dekhe hain thikane kya kya sang-bari se nawaza hai tere shahr ne jab roe hain mere liye aaina-khane kya kya yaad-e-mazi ne mujhe jab bhi sataya hai 'zafar' ek lamhe mein simat aae zamane kya kya