kaise kah dun mujh ko tanhai mein yaad aata hai kaun raaz ki ye baat hai aur raaz batlata hai kaun rone wale kya tere dil mein bhi hai mera sa gham yun kisi ke gham ko sun kar ashk bhar lata hai kaun husn hai maghrur to ye ahl-e-dil ki hai khata ek jhalak mein husn ka diwana ban jata hai kaun dusron ko kahne wala aadmi hai khud bura lekin apne zarf ko aaina dikhlata hai kaun kaun chashm-e-husn se pina na chahe hai sharab ishq mana hai musibat phir bhi ghabraata hai kaun shaikh sahib hain ki koi gham-zada ye shab dhale dekhna saqi dar-e-mai-khana khatkata hai kaun lut li jis ne 'zafar' ki zindagi ki har khushi kaun hai wo bewafa ye baat batlata hai kaun