humne dekhi hai yahi jazb-o-asar ki surat

hum ne dekhi hai yahi jazb-o-asar ki surat
aankh se dil mein utar jao nazar ki surat

ek hi shai hai bharam paikar-o-pairahan ka
kisi akhbar ke ho jao khabar ki surat

puchhna chaha tha us ne bhi hawaon ka mizaj
hath phaila ke bandhe panw shajar ki surat

use dahliz pe dekha to ye mahsus hua
koi hamrah bhi tha gard-e-safar ki surat

phir tawaqqo ka simatna tha zaruri ki idhar
kuchh talluq se bhi aage tha agar ki surat

phut jae jo kahin sar to ye irfan bhi bahut
kisi diwar se kya niklegi dar ki surat

zist tabir bhi hai zist ibarat hi nahin
hum ne dekha hai use zer-o-zabar ki surat

surat-e-haal ko sine se laga lo 'rahi'
surat-e-haal se kya hogi mafar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close