main dida-war hun nazaron se baat karta hun main aati jati bahaaron se baat karta hun zamin pe hain ye gul-o-khar mere ham-joli falak ke chand sitaron se baat karta hun mujhe wajud ki bahti nadi se nisbat hai main bank bank kagaron se baat karta hun mere hi samne sardi ki tan tuti hai basanti saz ke taron se baat karta hun main na-subur hun holi ke intizar mein hun badalte waqt ke dhaaron se baat karta hun dil-o-dimagh mein le kar gulal ke baadal main ranga-rang phuwaron se baat karta hun