hum ne dhunden bhi to dhunden hain sahaare kaise in sarabon pe koi umr guzare kaise hath ko hath nahin sujhe wo tariki thi aa gae hath mein kya jaane sitare kaise har taraf shor usi nam ka hai duniya mein koi us ko jo pukare to pukare kaise dil bujha jitne the arman sabhi khak hue rakh mein phir ye chamakte hain sharare kaise na to dam leti hai tu aur na hawa thamti hai zindagi zulf teri koi sanware kaise
Please share if you liked this!!!