hum ne jo qasidon ko munasib nahin samjha shah ne bhi hamein apna musahib nahin samjha kante bhi kuchh is rut mein tarah-dar nahin the kuchh hum ne ulajhna bhi munasib nahin samjha khud qatil-e-aqdar-e-sharafat hai zamana ilzam hai main hifz-e-maraatib nahin samjha ham-asron mein ye chhed chali aai hai 'azhar' yan 'zauq' ne 'ghaalib' ko bhi ghaalib nahin samjha