humne duniya mein ajab tarah ke manzar dekhe

hum ne duniya mein ajab tarah ke manzar dekhe
phul ki shakl mein aate hue patthar dekhe

jis ne dekha na ho maikhane ka pur-kaif saman
dast-e-saqi mein chhalakta hua saghar dekhe

wo nazar tang hai arbab-e-mohabbat ke liye
bazm-e-jaanan mein jo aa kar mah-o-akhtar dekhe

jo tasawwur mein banata hai hasin taj-mahal
pahle mitti ke gharaunde to bana kar dekhe

rind to rind hain zahid ba-khuda jhum gae
mai-kade mein jo khanakte hue saghar dekhe

faiz-e-ustad se khali nahin koi shair
yun to mahfil mein bahut ‘shair’-e-khud-sar dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close