har ek ka wo dard-e-jigar bhul gae hain kya apni nigahon ka asar bhul gae hain allah re is be-khudi-e-ishq ka aalam dekha hai kahin un ko magar bhul gae hain sina hai magar ishq ke anwar se khali rahraw hain magar zad-e-safar bhul gae hain dekho to nae daur ki aashufta-sari ko jo ahl-e-hunar the wo hunar bhul gae hain jab se gul-e-khush-rang ki dekhi hai tabahi kaliyon ke tabassum ka asar bhul gae hain 'shair' dil-e-barbaad hai masrur hamara shayad asar-e-sham-o-sahar bhul gae hain