hum ne ek umr mein kya kya na jahan dekhe hain aasman dekhe hain aur qar-e-nihan dekhe hain jin ki baaton mein tajalli thi khamoshi mein tilism wahi arbab-e-hunar sokhta-jaan dekhe hain naghma-o-sher-o-zaban ahl-e-siyasat ke qatil puri tahzib ke mitne ke nishan dekhe hain iqitdar-o-hawas-o-shor-o-munafiq-nazari jin ka shewa raha wo pir-e-mughan dekhe hain jins-e-arzan ki tarah bikte hue ahl-e-qalam ishtihaaron mein saje gul-badnan dekhe hain jin se tarikh ke safhat bhi jag uthte the wo zamane wo fasane guzaran dekhe hain wo hikayat raqam kin ki qalam khun roya har rag-e-tak pe zakhmon ke wahan dekhe hain ek ek harf se raushan hue jate the ufuq aaine sehr-e-dabistan mein nihan dekhe hain jin ki jadu-asari tana-e-ahabab bani wo tilismat likhe harf-o-bayan dekhe hain jin ki tabir mein ek umr ganwa di hum ne raaz wo sina-e-giti mein nihan dekhe hain jalte baam-o-dar-o-diwar sulagte hue shahr jin se pathra gain aankhen wo saman dekhe hain aasman-gir the shoale khas-o-khashak the jism qaid-e-be-jurm mein sab pir-o-jawan dekhe hain dil ne har zarra ke hamrah dhdakna sikha tab nawaon mein ye mani ke jahan dekhe hain