jab jab wo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya

jab jab wo sar-e-tur-e-tamanna nazar aaya
main kaise kahun wo mujhe kya kya nazar aaya

hasti ke dar-o-bast ka mara nazar aaya
har shakhs tamasha hi tamasha nazar aaya

dekha jo zamane ko kabhi achchhi nazar se
jo bhi nazar aaya hamein achchha nazar aaya

kabe mein jo dekha wahi but-khane mein paya
jaisa wo mere dil mein tha waisa nazar aaya

kya ye bhi mohabbat ke taqazon mein hai shamil
dariya mein nazar aaya to sahra nazar aaya

auron pe badhe sang-e-malamat jo liye hum
har chehre mein kyon apna hi chehra nazar aaya

dhunda hi nahin hum ne tumhaara koi ham-sar
han tum kaho tum ko koi hum sa nazar aaya

yun aur bahut aib hain 'sarwar' mein wa-lekin
kam-bakht mohabbat mein tu yakta nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close