hum ne kahne ko tumhein dil se bhulaya hua hai bas yahi dagh hai sine mein chhupaya hua hai ab giregi bhi to kaise ki bahut sabr ke sath hum ne diwar ko hathon se banaya hua hai baat karne ko bahut der se socha us se jis ki tahrir ko aankhon mein basaya hua hai chashm-e-be-aib mein us ka hi sarapa kyun tha jis ka gham hadd-e-tamanna mein samaya hua hai khwahish-e-qurb ke paiwand hain hathon mein mere ai junun-zad mujhe kitna sataya hua hai koi kahta hai rifaqat nahin milne wali koi kahta hai wo dahliz pe aaya hua hai wasl ki sham ka andaza bahut mushkil tha hum ne puchha tha magar us ne chhupaya hua hai