sata kar sitam-kash ko kya paiyega jo ki kuchh shikayat to jhunjhlaiyega wo barq-e-tajalli ki jo jalwa-gah wahin hazrat-e-dil na rah jaiyega adab ki jagah marne walo hai qabr samajh kar yahan panw phailaiyega gharib ab to qadmon mein hi aa pada dil-e-na-tawan ko na thukraiyega khabar bhi hai kuchh bar-e-isyan ki 'shauq' hui wan jo pursish to sharmaiyega