humne KHud apni rahnumai ki

hum ne khud apni rahnumai ki
aur shohrat hui khudai ki

main ne duniya se mujh se duniya ne
saikdon bar bewafai ki

khule rahte hain sare darwaze
koi surat nahin rihai ki

tut kar hum mile hain pahli bar
ye shuruat hai judai ki

soe rahte hain odh kar khud ko
ab zarurat nahin razai ki

manzilen chumti hain mere qadam
dad dije shikasta-pai ki

zindagi jaise-taise katni hai
kya bhalai ki kya burai ki

ishq ke karobar mein hum ne
jaan de kar badi kamai ki

ab kisi ki zaban nahin khulti
rasm jari hai munh-bharai ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close