salam us par agar aisa koi fankar ho jae siyahi khun ban jae qalam talwar ho jae zamane se kaho kuchh saiqa-raftar ho jae hamare sath chalne ke liye tayyar ho jae zamane ko tamanna hai tera didar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko mera didar ho jae wo zulfen sanp hain be-shak agar zanjir ban jaen mohabbat zahr hai be-shak agar aazar ho jae mohabbat se tumhein sarkar kahte hain wagarna hum nigahen dal den jis par wahi sarkar ho jae