hum ne khud ko gham-e-duniya se yun aazad kiya ghar ko viran kiya dasht ko aabaad kiya jitne nami hain sabhi ishq ke pale hue hain apne jaise hi the us ne jinhen farhad kiya main to din raat teri yaad mein gum rahta hun dosta kya kabhi tu ne bhi mujhe yaad kiya puchhta bhi na tha kal tak koi bhi viranon ko hijr-zadon ne miyan dasht ko aabaad kiya jo tumhein yaad bhi rakh kar nahin raazi 'daem' tum ne kyon us ke liye khud ko yun barbaad kiya