laut aae hain miyan khud hi dar-e-yar se hum yun hi kab tak lage rahte bhala diwar se hum dasht-e-wahshat mein bhi un hi se hua samna phir zindagi bhagte phirte the jin aazar se hum yun hi be-wajh lahu thukte rahna kya hai yahi anjam-e-wafa hai to rahe pyar se hum ab to bas ye hi tamanna hai ki sahra ho aur thak ke lag jaen kisi ret ki diwar se hum aankhen padhne ka hunar hi nahin aata jis ko kya karen baat bhala aise taraf-dar se hum adh-khile phul ki taswir bana li hum ne khub waqif the miyan waqt ki yalghaar se hum safar-e-ishq mein aankhon mein nae khwab liye har qadam uljhe rahe qafila-salar se hum