hum ne ki hai tauba aur dhumen machati hai bahaar hae bas chalta nahin kya muft jati hai bahaar lala-e-gul ne hamari khak par dala hai shor kya qayamat hai muon ko bhi satati hai bahaar shakh-e-gul hilti nahin ye bulbulon ko bagh mein hath apne ke ishaare se bulati hai bahaar hum giraftaron ko ab kya kaam hai gulshan se lek ji nikal jata hai jab sunte hain aati hai bahaar nargis o gul ki khili jati hain kaliyan dekho sab phir bhi unhi khwabida fitnon ko jagati hai bahaar