hum ne kuchh pankh jo dalan mein rakh chhode hain panchhi aa jaenge is dhyan mein rakh chhode hain sar-bulandi ho ki ai rahguzar-e-dil hum ne sare jhagde hi teri shan mein rakh chhode hain aisa aashob-e-tawazun tha ki patthar sare khench kar palla-e-mizan mein rakh chhode hain sochta hun ki wo iman hi le aae kabhi rakhne kuchh aise bhi iman mein rakh chhode hain rakh liye rauzan-e-zindan pe parinde sare jo na wan rakhne the diwan mein rakh chhode hain aise kuchh din bhi the jo hum se guzare na gae wapsi ke kisi saman mein rakh chhode hain aaj ka din hai kisi baad-e-hina chalne ka din aaj ke lamhe isi shan mein rakh chhode hain