shashdar-o-hairan hai jo bhi kharidaron mein hai ek sukut-e-bekaran har samt bazaron mein hai naubat-e-qaht-e-masihai yahan tak aa gai kuchh dinon se aarzu-e-marg bimaron mein hai wo bhi kya din the ki jab har wasf ek eazaz tha aaj to azmat qabaon aur dastaron mein hai ud rahe hain rang phulon ke faqat is baat par iltifat fasl-e-gul ka zikr kyun kharon mein hai ai mere naqid mere ashaar kam-paya sahi kam se kam iblagh to mere sukhan-paron mein hai bujh nahin sakti kisi surat hawas ki tishnagi bahr-e-be-payan bhi barish ke talab-garon mein hai khub-surat shakl mein hum sab darinde hain 'asad' aadmi kahte hain jis ko wo abhi ghaaron mein hai