hum ne mana ki jahan hum the gulistan to na tha magar aisa bhi wahan kucha-e-viran to na tha apna saya tha faqat zist ka saman to na tha sath chalta tha jo saya mere insan to na tha khar-o-khas gul se nahin kam tere viranon ke dasht mein warna kahin koi gulistan to na tha zarra zarra hai teri khak ka mahbub mujhe us ka ehsas mujhe yan hai magar wan to na tha mujh pe ilzam lagate ho junun-khezi ka chaak-daman tha magar chaak-gareban to na tha kaun samjhega use us ko zarurat kya hai kabhi mohtaj-e-bayan qissa-e-'sultan' to na tha