zang-alud zaban tak pahunchi honton ki miqraaz khamoshi ki jhil mein dubi pasmanda aawaz kaghaz par uljhate rahiye shabdon ki zanjir aate aate aa jaega likhne ka andaz haal ka matam karte karte aankhen khushk huin mustaqbil ki soch raha hai mazi ka nabbaz khushiyon ki dhundli taswiren rone ki tamhid ashkon ki kali parchhain hansne ka aaghaz aao suraj noch ke andhi aankhon mein bhar len kab tak aakhir chati jae tariki ki bayaz