hum ne thama yaqin ko guman chhod kar ek taraf ho gae darmiyan chhod kar dil na mana jien kahkashan chhod kar ja ke baste kahan khandan chhod kar apna ghar chhod kar bastiyan chhod kar be-aman ho gae hum aman chhod kar so gae beach mein dastan chhod kar hum alag ho gae karwan chhod kar kaise nadan the hum sab kahan aa gae apne aabao-jad ke makan chhod kar sath chalte rahe ye na socha kabhi kaun jaega kis ko kahan chhod kar aaj bhi muntazir hum wahin hain tere kal gaya tha hamein to jahan chhod kar rah apni nikali to manzil mili hum chale jada-e-rahbaran chhod kar hai ye malum gar jism-o-jaan se gae sab chale jaenge mehrban chhod kar gar tumhaari tamanna hai daim raho jao zehnon mein raushan nishan chhod kar tum to tanha hue jite-ji hi 'adil' log jate hain tanha jahan chhod kar