jahan-e-ilm ka bab-e-nisab hote hue bhatak raha hun main ahl-e-kitab hote hue kuchh aur bhi hai kharabi ki dusri surat main khud ko dekh raha hun kharab hote hue jo kaam dil ko mere fitratan nahin bhate unhen main kar nahin pata sawab hote hue mere hi dam se hai jo kuchh bhi is jahan mein hai main kaise khud ko bhula dun janab hote hue 'adil' jo the in aankhon ki raushni kal tak wo chehre dekh raha hun main khwab hote hue