hum ne to khak bhi dekha na asar rone mein umr kyun khote ho ai dida-e-tar rone mein raat kab aae tum aur kab gae malum nahin jaan itni na rahi hum ko khabar rone mein jab talak ashk thamen baith agar aaya hai teri surat nahin aati hai nazar rone mein tujh ko ai dida-e-tar shaghl hai rona lekin duba jata hai yahan dil ka nagar rone mein aalam-e-ishq mein majnun bhi bada gadha tha yar majnun se bhi hum gade hain par rone mein