lag gai mujh ko ye kis shakhs ki hae hae ek lamha bhi mujhe chain na aae hae siskiyan aah-o-fughan aur main kya kya dekhun zulm itna bhi koi mujh pe na dhae hae jam hathon se pilata hai wo har sham ke baad kash honton se bhi ek roz pilae hae mere mahbub tere rukh ki ziyarat ke liye chand ki chandni khidki se bulae hae ishq ke jurm mein karwa ke giraftar mujhe koi pazeb ki jhankar sunae hae dil churaate hain sabhi din ke ujale mein magar koi raaton ko mera khwab churae hae dastan gham ki main jab jab bhi likhun kaghaz par aks us mah-jabin ka ubhar aae hae samna ho to chura le wo nigahen mujh se dur jae to ishaare se bulae hae us ki ungli mein wo tasir ki lazzat bakhshe jab bhi wo chae mein ungli ko ghumae hae us ko main dekh ke aaya hun to kya dekhta hun us ke ushshaq mujhe dekhne aae hae tod kar dil wo mera jab se gaya hai 'ishraq' dil se har waqt nikalti hai sada-e-hae