hum ne to socha bhi nahin tha aisa din bhi aaega apnon ka yun rukh badlega sab se ji bhar jaega dil mein jo hai sab kah dalo waqt bahut kam baqi hai kaun yahan hai dost tumhaara jo dushman ho jaega kaise kaise pyare sathi kaisi kaisi baaten thin kis ko kya malum tha yaro kaun kahan chhut jaega pyar ke badle nafrat pai nafrat bhi itni gahri aisa kyun hai kyun hai aisa koi samajh na paega mat puchho hum ko apnon ne kaise kaise zakhm diye gar ye qissa chhed diya to sab ka ji bhar aaega aankhon mein ab ashk nahin hain sine mein ab aah nahin us ki baat karo mat mujh se dard bahut badh jaega apna bhi ek yar tha aisa jis se kuchh kah lete the ab jo dil ka bojh badhega kis ke dar par jaega pyar mohabbat lag lagao ke bare mein mat socho raha-saha jo bharam bacha hai yun wo bhi uth jaega ghar se be-ghar ho kar hum to mare mare phirte hain ye banjara dil dekho ab hum ko kidhar le jaega hum ne to apni kah dali tum bhi to kuchh apni kaho dil ki baat karo kuchh yaro dil halka ho jaega