na koi dost dushman ho sharik-dard-o-gham mera salamat meri gardan par rahe bar-e-alam mera likha ye dawar-e-mahshar ne meri fard-e-isyan par ye wo banda hai jis par naz karta hai karam mera kaha ghuncha ne hans kar wah kya nairang-e-alam hai wajud gul jise samjhe hain sab hai wo adam mera kashakash hai ummid-o-yas ki ye zindagi kya hai ilahi aisi hasti se to achchha tha adam mera dil-e-ahbab mein ghar hai shagufta rahti hai khatir yahi jannat hai meri aur yahi bagh-e-iram mera mujhe ahbab ki pursish ki ghairat mar dalegi qayamat hai agar ifsha hua raaz-e-alam mera khadi thin rasta roke hue lakhon tamannaen shahid-e-yas hun nikla hai kis mushkil se dam mera khuda ne ilm bakhsha hai adab ahbab karte hain yahi daulat hai meri aur yahi jah-o-hasham mera zaban-e-haal se ye lucknow ki khak kahti hai mitaya gardish-e-aflak ne jah-o-hasham mera kiya hai fash parda kufr-o-din ka is qadar main ne ki dushman hai barhaman aur adu shaikh-e-haram mera