humse bichhaD ke tumne socha paoge aaram bahut

hum se bichhad ke tum ne socha paoge aaram bahut
ye nahin socha dushman-e-jaan hain hijr ke subh-o-sham bahut

ishq-e-butan ke hum par hi kyon aaed hain ilzam bahut
'mir'-o-'mirza' 'hasrat' 'fani' aur hain aise nam bahut

main ne logon ko na bataya kis ne mujhe barbaad kiya
lekin meri khamoshi ne dohraya ek nam bahut

dushman-e-jaan hai yun to us ki sada-nigahi bhi lekin
jin se mukhatib hon wo nigahen un ke liye paigham bahut

hum to sab kuchh bhul chuke the aaj ye kaisi baat hui
jis mein hum donon bichhde the yaad aai wo sham bahut

ulfat ki sarkar se 'wasil' hum to pate rahte hain
hasrat-o-arman ki saughaten zakhmon ke inam bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close