is tarah meri wafaon ka sila de mujh ko har tamanna ki jagah zakhm naya de mujh ko mujh ko jo baat bhi kahni thi sar-e-am kahi marzi-e-waqt hai jo chahe saza de mujh ko main ki har-chand koi gauhar-e-nayab nahin itna sasta bhi nahin hun ki luta de mujh ko husn-e-kirdar ka mere use iqrar to hai ye alag baat wo nazron se gira de mujh ko main bahut dur bahut dur nikal aaya hun mere mazi se na ai dost sada de mujh ko main sar-e-rah-e-wafa ek larazta sa diya teri marzi hai jala de ki bujha de mujh ko main tere ahd ki aawaz hun pahchan bhi hun qadr kar meri na is tarah ganwa de mujh ko ya mujhe quwwat-e-taskhir-e-do-alam ho ata warna mamura-e-hasti se mita de mujh ko khas-o-khashak ki manind pada rahne do khud bikhar jaunga tu yun na uda de mujh ko waqt ka faisla ab tu bhi gawara kar le main tujhe bhul gaya tu bhi bhula de mujh ko aaj kis haal mein yaran-e-watan hain 'wasil' ai nasim-e-sahari kuchh to bata de mujh ko