hum se guftugu aise de koi bayan jaise qaede ke lafzon ko mil gai zaban jaise dosti ki ye manzil hai wabaal-e-jaan kitni baat baat par abru khinch gae kaman jaise baat-chit yaron se pul-siraat par chalna lafz milta rahta hai bazm ho dukan jaise dekhta hun chehron ko main talash mein apni naqsh khub ghairon ke hon mera nishan jaise yun sambhaal kar rakh li dil mein dhul yaadon ki karwan ki manzil ho gard-e-karwan jaise