suno to aariza-e-ikhtilaj rahne do sukun ke thik nahin hain mizaj rahne do ba-hukm-e-shah taqarib-e-amn kal honge sharar-gazida hai mahaul aaj rahne do tum apni nabz ki raftar par nazar rakkho khilaf-e-gardish-e-nau-ehtijaj rahne do kisi ko saya kisi ko gul-o-samar dega hara bhara hai darakht-e-riwaj rahne do zamin-e-fikr-o-hunar banjh hai abhi 'rahi' husul-e-dad wasul-e-khiraj rahne do