hum se milte the sitare aap ke phir bhi kho baithe sahaare aap ke kaisa jadu hai samajh aata nahin nind meri khwab sare aap ke hum se shayad mo'tabar thahri saba jis ne ye gesu sanware aap ke aap ki nazar-e-karam ke muntazir kab se baithe hain dware aap ke koi us ki aankh ko bhaega kyun jis ne dekhe hon nazare aap ke bin tere sansen bhi ab chalti nahin har ghadi chahen, ishaare aap ke muskura kar dekhiye to ek bar kahkashan, ye chand tare aap ke jhut hai 'mufti' bhula baithe ho sab kyun the palkon par sitare aap ke