aap hi fan ka parastar samajhte hain mujhe

aap hi fan ka parastar samajhte hain mujhe
warna ye log to fankar samajhte hain mujhe

uljhanen le ke chale aate hain basti ke makin
kitne nadan hain samajhdar samajhte hain mujhe

sar patakte hain mere sine pe sab rote hue
rone wale koi diwar samajhte hain mujhe

mere chup rahne pe patthar mujhe kahne wale
mere rone pe adakar samajhte hain mujhe

dhup niklegi to un sab ke bharam tutenge
ye jo sab saya-e-diwar samajhte hain mujhe

han main bimar hun par gham mujhe is baat ka hai
ghar ke sab log bhi bimar samajhte hain mujhe

mujh ko is sim-zada shahr mein rahna hai jahan
sab mohabbat ka gunahgar samajhte hain mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close