humse mumkin na hua dasht ko dariya likkhen

hum se mumkin na hua dasht ko dariya likkhen
khar ko phul kahen dhup ko saya likkhen

un ka israr andhere ko ujala likkho
zid hamari ki andhera hai andhera likkhen

aao is ped ke sae mein zara susta len
aur phir chahe ghazal chahe qasida likkhen

kuchh pata un ko chale hum pe guzarti kya hai
apne ek aadh sahi gham ka khulasa likkhen

us ke har harf se khushbu si tumhaari mahke
ya rubai ya koi sher ghazal ka likkhen

kya karen phul se kaghaz pe bikhar jate hain
jab bhi chaha hai kabhi un ka sarapa likkhen

chandni raat mein baithen lab-e-dariya pe kahin
aur har mauj pe bas nam tumhaara likkhen

us ki hasti ki hai aabaad mahakta sa jahan
aur hum khud ko samundar mein jazira likkhen

hum ko is ahd-e-kashakash ko raqam karna hai
kis ko fursat ki bhala aap ka qissa likkhen

kya diya tum ne zamane ko bas ek shab ke siwa
hum ne socha hai ki us shab ka sawera likkhen

tum ne ek mod pe la ke jise chhoda tha kabhi
aao ab baith ke qissa wo adhura likkhen

dil se majbur hain 'jawed' magar haif kahan
kya ye mumkin hai kabhi aap ko apna likkhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close