hum se na hogi tark-e-wafa ye aur kisi ko sunaen aap hum na sunenge hazrat-e-naseh lakh hamein samjhaen aap sharm-o-haya ke parde mein karte the hum pe jafaen aap aap ko hum pahchan gae munh aanchal se na chhupaen aap zulf ka tere in se koi mazmun jo raqam ho jata hai fart-e-khushi se le leta hun hathon ki apne bulaen aap wah-ji wa bas dekh liya kya waza ki hai yahi pabandi kahte is ko hain sharm-o-haya hum jaan se jaen na aaen aap sun chuke haal-e-pursish-e-mahshar waz ki 'anjum' had bhi hai ye to nahin hai hukm-e-khuda roz ek qayamat dhaen aap