jaane kya hai jise dekho wahi dil-gir lage shahr ka shahr hi ab mo'taqid-e-mir lage subh aashufta-mizajon ki pareshan-e-sukhani raat ek mar-e-siyah jaise inan-gir lage ab to jis aankh ko dekho wahi pathrai hui ab to jis chehre ko aawaz do taswir lage jaane kis shahr-e-tilismat mein aa nikla hun apne qadmon ki sada halqa-e-zanjir lage yahi maqdur-e-masafat hai ki kheme jal jaen yahi maqsum-e-safar hai ki koi tir lage zindagi bhar jinhen jaan kah ke pukara gaya 'shauq' wahi sine se mere surat-e-shamshir lage