hum se na puchh jaegi hijr ki rahguzar kahan sham hui to thi kahin subh hui magar kahan dana-o-dam se pare meri udan yaad kar mujh ko talash kar na dekh rakhe hain baal-o-par kahan ishq-e-hisar-e-zat se dur bahut nikal gaya aise mein jabr-e-waqt bhi hota hai kargar kahan walwala-ha-e-shauq sab sarf-e-muhajrat hue ab sar-e-manzil wafa dhund rahe ho ghar kahan chhod ke karwan-e-shauq manzil-e-gham pe kar qayam misl-e-ghubar-e-karwan phirta hai dar-ba-dar kahan