hawa ki dor mein tute hue tare piroti hai ye tanhai ajab ladki hai sannate mein roti hai mohabbat mein laga rahta hai andesha judai ka kisi ke ruth jaane se kami mahsus hoti hai khamoshi ki qaba pahne hai mahw-e-guftugu koi barahna jism tanhai mere pahlu mein soti hai ye aankhen roz apne aansuon ke surkh resham se naya kuchh khwab bunti hai koi sapna sanjoti hai lahu mein tairne lagta hai jab wo chand sa chehra hawa-e-dard sine mein koi neza chubhoti hai ye shahr-e-raftagan hai ab yahan koi nahin aata ye kis ke paon ki aahat mujhe mahsus hoti hai burida-sar pada hai kushta-e-ummid sahra mein udasi khak par baithi hui aanchal bhigoti he