hun kalbud-e-khak mein mehman koi din aur qismat mein hai pabandi-e-zindan koi din aur hai daftar-e-alam ko zarurat abhi meri karni hai mujhe khidmat-e-unwan koi din aur aane hi ko hai mausam-e-gul khair mana le daman koi din aur gareban koi din aur ai abr yunhi qatra-e-fashan rah abhi kuchh roz mai-khwaron pe hota rahe ehsan koi din aur aamada-e-rukhsat hai mera ahd-e-jawani khatir ka lahu chus le arman koi din aur kuchh roz thahar aur bhi ai shama-e-shab-afroz pur-nur rahe mera shabistan koi din aur kyun ru-kash-e-alam hai nihaal-e-jigar-afgar rahna tha nawa-sanj-e-ghazal-khwan koi din aur