masale ka hal na nikla der tak raat-bhar jag bhi socha der tak muskura kar us ne dekha der tak dil hamara aaj dhadka der tak aap aae hain to ye aaya khayal baam par kyun panchhi chahka der tak tutte hi un se ummid-e-wafa dil hamara phir na dhadka der tak phul apne ras se wanchit ho gaya phul par bhanwra jo baitha der tak khul gaya us ki wafaon ka bharam de na paya mujh ko dhoka der tak naz se wo zulf suljhate rahe chhat pe meri chand chamka der tak jis jagah insan ki izzat na ho us jagah phir kya thaharna der tak khub roya main kisi ki yaad mein ab ki baadal khub barsa der tak chal diya wo sab ko tanha chhod kar kash wo duniya mein rahta der tak wo chhuda kar apna daman chal diye rah gaya main hath malta der tak zahr se labrez saghar ka maza pyar mein hum ne bhi chakkha der tak ye zamana bewafa hai 'nur'-ji kab kisi ka sath dega der tak