hun main bhi shoabada koi duniya ke samne hairan ho rahi hai mujhe pa ke samne zarre ne aaj apni haqiqat ko pa liya zarra na sar-nigun hua sahra ke samne uksa rahi hai koi khalish der se mujhe rakh dil sa phul khar-e-tamanna ke samne khalwat mein kar raha tha gunahon ka e'tiraf honton ko wa na kar saka duniya ke samne 'asif' tamam marhale aasan ho gae thahri na ek chatan bhi dariya ke samne