humne dekha hai itne khanDar KHwab mein

hum ne dekha hai itne khandar khwab mein
ab to lagta nahin hum ko dar khwab mein

apni barson se hai ek wahi aarzu
roz aa jae hai jo nazar khwab mein

waqt aane pe sab ko ghashi aa gai
jo batate the khud ko nidar khwab mein

zulm ki aandhiyan badh ke tufan huin
mast duniya hai par raat bhar khwab mein

ishq ki ye masafat bhi kya khub hai
chand tare hue rahguzar khwab mein

un se hota hai har raat ahd-e-wafa
aur nibhate hain hum beshtar khwab mein

roz o shab kho gae hain na jaane kahan
ab to hoti hai sham o sahar khwab mein

jo bahut mo'tabar aa rahe hain nazar
un ke hote hain kar-e-digar khwab mein

zindagi ki haqiqat ajab ho gai
aaj kal ho rahi hai basar khwab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close