hun main parwana magar shama to ho raat to ho jaan dene ko hun maujud koi baat to ho dil bhi hazir sar-e-taslim bhi kham ko maujud koi markaz ho koi qibla-e-hajat to ho dil to bechain hai izhaar-e-iradat ke liye kisi jaanib se kuchh izhaar-e-karamat to ho dil-kusha baada-e-safi ka kise zauq nahin baatin-afroz koi pir-e-kharabaat to ho guftani hai dil-e-pur-dard ka qissa lekin kis se kahiye koi mustafsir-e-haalat to ho dastan-e-gham-e-dil kaun kahe kaun sune bazm mein mauqa-e-izhaar-e-khayalat to ho wade bhi yaad dilate hain gile bhi hain bahut wo dikhai bhi to den un se mulaqat to ho koi waiz nahin fitrat se balaghat mein siwa magar insan mein kuchh fahm-e-ishaaraat to ho