hun shaikh mushafi ka main hairan-e-shaeri allah muflisi mein ye kuchh shan-e-shaeri raunda use tamam mere rakhsh-e-kilk ne sauda se bach raha tha jo maidan-e-shaeri main aur le ke sauda namak us mein bhar diya tha us ka kam namak jo namakdan-e-shaeri hindostan ke gardan-e-khurd-o-buzurg par hai sach to ye mera hi hai ehsan-e-shaeri pairaw hain meri tarz ke yan chhote aur bade mulk-e-sukhan ka hun main sulaiman-e-shaeri rahte hain incha-tani mein ab us ke aur yar tha hath mein mere jo gareban-e-shaeri rakhti hai nok-e-khama-e-jadu-raqam hanuz mizhgan-e-tar se taza gulistan-e-shaeri mundi jo aankh main ne to chashm-e-zamana se chhup jaega wunhi mah-e-taban-e-shaeri main ibtada-e-umr mein muddat talak bahut chhana hai farsi ka safahan-e-shaeri baad is ke rekhte ki bhi rakkhi hai wo bina hairan hain jis ke naqsh-e-taraazan-e-shaeri kuchh kuchh kahe hain phir arabi mein jo sher-o-nazm is mein bhi ban gaya hun main sahban-e-shaeri din raat mere nakhun-e-nok-e-qalam mein hain lakhon tariq o shewa o unwan-e-shaeri har sifla ka dahan ye nahin hai ki ho sake mere siwae sham-e-shabistan-e-shaeri jis roz mere jism se niklegi meri jaan ye jaaniyo tu aaj gai jaan-e-shaeri lakhon tarana-sanj hue is ke reza-chin ai 'mushafi' mera hi hai wo khwan-e-shaeri