naqsh-e-qadam hua hun mohabbat ki rah ka kya dil-kusha makan hai meri sajda-gah ka garmi sin aaftab-e-qayamat ki kyun darun saya hai mujh kun sarw-e-qayamat-panah ka nasur ho ki roz-e-qayamat talak bahe jis ke jigar mein tir lage tujh nigah ka piw ka jamal dekh hua chaak chaak dil jiyun ki katan pe aks pade nur-e-mah ka dore nahin hain surkh teri chashm-e-mast mein shayad chadha hai khun kisi be-gunah ka dil tujh birah ki aag sin kyunkar nikal sake shoala sen kya chalega kaho barg kah ka sumbul hai jiyun ki jalwa-numa juebar par aankhon mein meri aks do-zulf-e-siyah ka mahtab-ru ke rukh pe siyah khat nahin 'siraj' ja kar khala hua hai mere dud aah ka